Currency Converter

forex update rates

Saturday, August 4, 2012

GANAY - MAUSIQI {Roman Urdu}

GANAY - MAUSIQI {Roman Urdu}

yeh ganay Aur dholak, aur tablay ki jo illat hai...
Kahan Sunnat say sabit Hai, Sarasar yeh Zalalat hai...

          Allah Paak nay insaan ko buhat mukhtasar say waqt kay liye duniya main bhaija hai. Is ka asal thikana Aalam-e-Akhirat hai. Wahan per hamesha rahna hai, wahan kabhee maut waqia nahin ho gi. Us Aakhrat wali zindagi kay liye fikr karni chahiye. Jis shaks nay is dunya mein rehtay huay Aakhrat kay liye tayyari kar li, apnay a'mal, ikhlaq-o-kirdar ko darust kar liya, halal-o-haram ko pehchan kar halal ko ikhtiyar kiya aur haram say parhaiz kar liya, Allah Paak nay jin jin kamoun say man'a farmaya un say parhaiz kiya; wohi insan kamyab hai, Us ki Aakhrat ki zindagi bhi achi ho gi, woh Aakhrat mein khush-o-khurram ho ga, naaz-o-naymat ki zindagi basar karay ga. Is kay barkhilaf jis nay dunya hi ko maqsad-e-hayat bana liya, isi kay liye koshish karta raha, halal-o-haram mein imtiaz nahin kiya, aur apnay auqat ko khayl kood aur fazool aur baykar kamoun mein zaya kar diya; us ki Aakhrat ki zindagi buhat hi buri ho gi, Aakhrat mein us per Allah Paak ka ghazab nazil ho ga, woh azaab ki chakki mein pisay ga aur takleef mein mubtala hoga.


          Maujuda dour mein Gana bajana jis ko "Mausiqi" kay naam say yaad kia jata hai, dar-asal Quran aur Hadees ki roshni mein Haram hai aur ye shaitani kamoun mein say ek shaitani kaam ha. Aaj-kal kay dour mein yeh shaitani kaam itna ziada ho gaya hai jaisay ghar-ghar mein cable system, Television, Radio, tape recorder aur loug khushi kay mauqay per ganay bajanay ka ehtamam kar rahay hain. Yeh sab kuch Islam mein Haram hai. Sara din loug apna time in shaitani kamoun mein laga daytay hein, in ko ye ehsas tuk nahin hota kay mein nay subha say raat tak shaitani kamoun mein tou apna waqt guzara, magar 24 ghanton mein Allah Paak ka 1 Farz ada kia ya nahi? Hamaray boht say Muslaman is ganay bajanay mein apna time paas kartay hein aur ghar main sara din aur saari raat cable chala kar lutf andoz hotay hain. Allah rehm karay! cable system mein tou buhat burai chaa gayi hai aur aisay channels aa gaye hein kay bikul daikhnay kay qabil nahin hain, phir bhi hamaray Musalman apni jawan baityoun aur bachoun kay saath woh channels daikhtay hein, in ki nazar mein yeh saray shaitani kaam aik tafreeh aur ma'lumat hein.

          Jo loug gana bajanay aur us kay sunnay mein mashghul rehtay hein, un ko sochna  chahiye kay woh apni zindagi ko kis qadar barbaad kar rahay hein aur qayamat kay din Allah Paak ko kya jawab dein gay aur in ki Aakhirat ki zindagi kitni buri ho gi?

          Allah Paak nay Hazrat Muhammad (S.A.W) ki ummat kay liye gana bajana bilkul Haram qarar diya hai, Quran-o-Hadees mein is per sakht w'aeedain ayi hein.

          Allah Paak apnay kalam main farmata hai:
"Aik woh loug hein kay khareedar hein khail ki batoun kay takay Allah ki raah say bay-samjhay boojhay gumrah karay aur us ki hansi urra day; aisay lougon kay liye zillat ka a'zab hai." (Maaruf-ul-Quran)

          Jamhoor Mufassireen-e-karaam ka yehi qoul hai kay yeh Aayat ganay bajanay say mut'aliq hi nazil hui hai. (Qurtabi, Tafseer Ibn-e-Kaseer)

          Hazrat Muhammad (S.A.W) nay farmaya:
"Mein Mazameer (ganay bajanay kay a'alat) ko tornay kay liye bhaija gaya hoon. (Al-Hadees)

          Hazrat Ibn-e-Abbas (R.A) say riwayat hai kay Janab Nabi Kareem (S.A.W) nay farmaya:
"Allah Ta'ala nay sharaab, tabla aur saarangi ko Haram kia aur farmaya har Nasha lanay wali cheez Haram hai." (Masnad Ahmed)

          Ibn-e-Masood (R.A) say riwayat hai kay Rasool-ULLAH (S.A.W) nay farmaya:
"Gana; nafaq ko yun ugata hai jis tarha pani khayti ko ugata hai" ( Rawah-ul-Behqi & Abi Dawood)

          Hazrat Abu Malik Ashari (R.A) say riwayat hai kay Janab Nabi Paak (S.A.W) nay irshad farmaya:
"Meri ummat kay kuch loug sharab ka naam badal kar piyein gay aur un kay samnay Muazaf aur Mazameer (ganay bajanay kay a'alat) kay sath aurtoun ka gana hoga, Allah Paak un ko zameen kay under dhansa day ga aur baaz ki soortein maskh kar kay bandar aur sooar bana day ga." (Ibn-e-Maja & Abi Dawood) 
Note: Majouda zalzalay is Hadees say sabit hein.

          Bas du'a karein kay Allah mujhay, aap ko aur sari ummat ko is gunah-e-azeem say bachnay ki taufeeq naseeb farmaye, Amin. Aaiye sub mil kar Tauba karein sachay dil say kay aaj say ganay nahin sunain gay, inshAllah.










No comments:

blog comments powered by Disqus
Subscribe to APNIWAP

Powered by us.groups.yahoo.com